Sep 10, 2010

Ab kya karu!!!



Ab kya karu ki waqt sunta  nahi meri, main waqt ka mara be-waqt mar raha hun. Jo chirag the meri zindagi ke mukaam mein, woh chirag ab mit rhain hain, main akela ab chingariyon ki lao mein jal raha hun, ab kya karu ki main be-waqt mar raha hun. Kuch hath mile the sath chalne ko, ab un haathon se main kuch aur dur chalne ki fariyaad kar raha hun. Jo the humdard mere main unhi ke dard mein jal raha hun, afsos ab kyu karega koi ki bekhauf zindagi basar wala main be-maut mar raha hun. Main ab kya karu waqt suntan nahi meri, main waqt ka mara be-waqt mar raha hun. Kehte the woh ki main azeez hun unka, nazar lagi kya kisiki? Ki ab main unki azeezi se ghut raha hun. Woh rooh-e-pak the kabhi, ab be-hayaa hue, main ussi rooh ki talaash main dar-dar bhatak raha hun.

Sep 9, 2010

GUJARISH


Tu kyu chup hai, Kyu khamosh hai Teri nigaah, Tu waqt aaye to batana.  Tu kyu gumsum hai, Kyu lagti hai Khafa si, Kabhi waqt aaye to batana. Gum hai kahin khayaalo mein tu, kabhi jehan mein koi baat aaye to batana. Chupa baithi ho dard-e-jahan saaye mein,  saaya dhalne ki koi sham aaye to batana. Shararat hua karti thi teri hansi mein kabhi, hansi phir teri panaah mein aaye to batana. Haal ka sune Dard-o-Gum ka, jubaan par koi larajti baat aaye to batana. Hasin hai tu,tera gum bhi hasin, Kabhi chehre par phir ruaaab aaye to batana. Khawaab durust hua karte they aashiyaan mein teray, khwaabon se bhari phir koi raat aaye to batana. Bazm aabaad thi teray dastak-e-mehfil se, viraan kisi bazm ko teri yaad aaye to batana. Naamon mein kabhi mera naam aaye to batana, tujhe phir meri yaad aaye to batana.....